maal-e-soz-e-talab tha dil-e-tapan malum

maal-e-soz-e-talab tha dil-e-tapan malum
sitam ki aag bhi hone lagi dhuan malum

shikasta-pa bhi pahunch hi gae sar-e-manzil
na raste ki khabar thi na karwan malum

shamim-e-dost badhati hai zindagi lekin
hamein haqiqat-e-hasti abhi kahan malum

na jaane fitna-garon ne lagai thi kab aag
hamein to aanch hui us ki na-gahan malum

guzar chuke had-e-tufan se mod lo kashti
yahan se hote hain sahil ke kuchh nishan malum

bichhad ke aap se kya kya guzar gai dil par
kahun kisi se to ho us ko dastan malum

ubhar ke kahte hain phulon se khar-e-gham 'ahsan'
ki hum na hon to na ho rang-e-gulsitan malum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close