machlenge un ke aane pe jazbaat sainkadon hans bolne ki hongi hikayat sainkadon mayyat uthane koi bhi aaya na baad-e-marg sunte the zindagi mein meri baat sainkadon tum the to zindagi ka na koi sawal tha ab janm le rahe hain sawalat sainkadon kyun us nigah-e-mast ki sab mangte hain khair aabaad aur bhi hain kharabaat sainkadon chamke jo tere nur se din-raat the wahi aane ko yun to aae hain din-raat sainkadon parda-nawaz husn ke qurban jaiye ek ek hijab mein hain hijabaat sainkadon wo baat koi bhi na kahega jo hum kahen tum jo kaho kahenge wahi baat sainkadon karte hain arz-e-wasl pe han-hun aji nahin yani sawal ek hai jawabaat sainkadon bante hain zindagi ke fasane unhin se 'charkh' wo hain to zindagi ki riwayat sainkadon