mahfil ishq mein jo yar uThe aur baiThe

mahfil ishq mein jo yar uthe aur baithe
hai wo malka ki subuk-bar uthe aur baithe

raqs mein jab ki wo tarrar uthe aur baithe
be-qarari se ye bimar uthe aur baithe

kasrat-e-khalq wo mahfil mein hai teri ek shakhs
nahin mumkin hai ki yakbar uthe aur baithe

sar uthane ki bhi fursat nahin deta hai hamein
chu habab-e-sar-e-ju yar uthe aur baithe

khauf-e-badnami se tujh pas na aae warna
hum kai bar sun ai yar uthe aur baithe

dard kyun baithe bithae tere sar mein uttha
ki qalaq se tere sau bar uthe aur baithe

teri diwar to kya gumbad-e-dwwar bhi yar
chahiye aah-e-sharar-bar uthe aur baithe

aap ki majlis-e-ali mein alarraghm raqib
ba-ijazat ye gunahgar uthe aur baithe

aap se ab to is ahqar ko sarokar nahin
jis jagah chahiye sarkar uthe aur baithe

hazrat-e-dil sipar-e-dagh-e-junun ko le kar
yun bar-e-ishq jigar-khwar uthe aur baithe

chun dilerana koi munh pe sipar ko le kar
sher-e-khun-khwar ko lalkar uthe aur baithe

kafashdoz un ke jab apne hi barabar baithen
aisi majlis mein to paizar uthe aur baithe

zahid aaya to gawara nahin rindon hum ko
apni is bazm mein makkar uthe aur baithe

donon kanon ko pakad kar yahi hai us ki saza
kah do sau bar ye ayyar uthe aur baithe

baithte uthte isi tarah ke likh aur ghazal
jis mein 'ehsan' ho na paikar uthe aur baithe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close