mahshar ka hamein kya gham isyan kise kahte hain

mahshar ka hamein kya gham isyan kise kahte hain
palle pe wo but hoga mizan kise kahte hain

ushshaq phire dar-dar aiwan kise kahte hain
sar bar raha tan par saman kise kahte hain

wasl-e-but-e-mahru hai sharb-e-mai-e-gulgun hai
phir aur inayat-e-yazdan kise kahte hain

qaidi rahe wahshat mein be-khud the magar aise
ye bhi na khula hum par zindan kise kahte hain

insan ka bas nafs-e-ammara mukharrab hai
la-haul wala quwwat shaitan kise kahte hain

mahtab tere aage nikla to nujumi ko
sabit na hua mah-e-taban kise kahte hain

bimar-e-mohabbat hain mar jaen to achchha hai
qurban atibba ke darman kise kahte hain

kyunkar na hansen sun kar haal-e-dil aashiq ko
kamsin hain wo kya jaanen arman kise kahte hain

ai waizo ye baaten achchhi nahin gunjalak ki
koi jo kabhi samjhe iman kise kahte hain

dekhen to khizar tere aab-e-dam-e-khanjar ko
malum nahin aab-e-haiwan kise kahte hain

han dast-e-junun sau sau zanjir ki tukde hon
sansi kise kahte hain sohan kise kahte hain

be-yar ye baadal hain dal sham ki faujon ke
bauchhaar hai tiron ki baran kise kahte hain

hum aap ke ghar aa kar farmaiye jaenge
achchhi rahi lo suniye mehman kise kahte hain

jab dekhte hain gul ko kahte hain wo shokhi se
roti hui surat hai khandan kise kahte hain

be-khud khalish-e-gham se hote hain to kahte hain
ai dil ye khatak kya hai mizhgan kise kahte hain

diwar ko zindan ki pathra gae diwane
jis dam ye khayal aaya maidan kise kahte hain

aaine ke sath apni surat unhen dikhlaen
dekhen to wo dono mein hairan kise kahte hain

shohra hai 'saba' ab to apni bhi fasahat ka
'atish' ke muqallid hain sohban kise kahte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close