mahw-e-zari to rakha dil ki lagi ne shab-bhar lekin aansu bhi jo ponchhe to usi ne shab-bhar ye mere dil ki chamak hai ki teri aankh ka nur zehn mein nachte rahte hain nagine shab-bhar ruhen dam-saz hain to jism bhi hamraaz banen yun to tadpenge ye jalte hue sine shab-bhar ajnabi jaan ke darte rahe sab darwaze meri aawaz na pahchani kisi ne shab-bhar dil ke betab samundar mein tamanna ban kar dubte tairte rahte hain safine shab-bhar us ke baam-falak-asar ki taswir mein gum meri takhil banati rahi zine shab-bhar jahan bedariyan baithi hain muhafiz ban kar hum ne khwabon mein nikale wo dafine shab-bhar aankh utha kar bhi nahin dekhta ab din mein jise kitna bechain rakha mujh ko usi ne shab-bhar sher hi kahiye ki shayad mile taskin 'anjum' yun to ye chandni degi nahin jine shab-bhar