mai-kada mere liye ja-e-tasadum to nahin lakh nashsha hai magar hosh mere gum to nahin mo'tariz kyun hai zamana meri betabi par khamushi ki hi ada hai ye takallum to nahin kyun safina meri hasti ka ho gharqab-e-fana jazr-o-mad dil ka hai dariya ka talatum to nahin ab khata-kosh na hon mujh ko ye tambih bhi hai ai khata-posh ye kuchh shan-e-tarahhum to nahin us ki fariyaad ka kyun tum pe asar hota hai aur koi hai 'munawar' ka khuda tum to nahin