main agar kar dun raqam josh-e-junun kaghaz par

main agar kar dun raqam josh-e-junun kaghaz par
lafz ban ban ke dhale dil ka ye khun kaghaz par

kya khabar kaun se harfon ko milate honge
kabhi likkha hi nahin hum ne sukun kaghaz par

tai-shuda hai ki tamam-umr badan uth na sake
main kabhi likh dun agar sar ko nigun kaghaz par

tut ke phir to adu ke kahin kaam aate hain
jab bhi chalta hai mohabbat ka fusun kaghaz par

us ne jab bagh-e-nihan ko nihan rakkha gulzar
hum ne bhi sabz rakha dasht-e-darun kaghaz par

mujh se barham hai falak itni si khwahish pe meri
tod kar ek sitare ko rakhun kaghaz par

ab yahi kaam hai taswir-numai teri
aur phir pahron tujhe takta rahun kaghaz par

ju-e-khun aankhon talak aane lagi thi so mujhe
kat kar rakhna pada zakhm-e-darun kaghaz par

kuchh haqiqat ke bhi lafzon ko jagah do 'nayab'
likhte rahte ho bhala karb hi kyun kaghaz par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close