main apna nam tere jism par likha dekhun

main apna nam tere jism par likha dekhun
dikhai dega abhi battiyan bujha dekhun

phir us ko paun mera intizar karte hue
phir us makan ka darwaza adh-khula dekhun

ghataen aaen to ghar ghar ko dubta paun
hawa chale to har ek ped ko gira dekhun

kitab kholun to harfon mein khalbali mach jae
qalam uthaun to kaghaz ko phailta dekhun

utar phenkun badan se phati purani qamis
badan qamis se badh kar kata-phata dekhun

wahin kahin na padi ho tamanna jine ki
phir ek bar unhin jangalon mein ja dekhun

wo roz sham ko 'alwi' idhar se jati hai
to kya main aaj use apne ghar bula dekhun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close