main bhi kab se chup baiTha hun wo bhi kab se chup baiThi hai

main bhi kab se chup baitha hun wo bhi kab se chup baithi hai
ye hai visal ki rasm anokhi ye milne ki rit nai hai

wo jab mujh ko dekh rahi thi main ne us ko dekh liya tha
bas itni si baat thi lekin badhte badhte kitne badhi hai

be-surat be-jism aawazen andar bhej rahi hain hawaen
band hain kamre ke darwaze lekin khidki khuli hui hai

mere ghar ki chhat ke upar suraj aaya chand bhi utra
chhat ke niche ke kamron ki jaisi thi auqat wahi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close