main bhi kya zabt aazmata hun

main bhi kya zabt aazmata hun
tauba karta hun bhul jata hun

gham sa rahta hun tujh se duri mein
aur qurbat mein kho sa jata hun

apni hasti ki azmaten aksar
inkisari se jhuk ke pata hun

kyun muqayyad hun zat mein apni
jabki duniya se dil lagata hun

us ki zulfon ko ab ke suljha kar
khud ko uljha hua sa pata hun

jaane wale ko ye nahin malum
main tasawwur mein us ko lata hun

gham-gusari mein dost ki 'adil'
ranj sahta hun muskuraata hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close