main bura hi sahi bhala na sahi par teri kaun si jafa na sahi dard-e-dil hum to un se kah guzre gar unhon ne nahin suna na sahi shab-e-gham mein bala se shaghl to hai nala-e-dil mera rasa na sahi dil bhi apna nahin raha na rahe ye bhi ai charkh-e-fitna-za na sahi dekh to lenge wo agar aae taqat-e-arz-e-muddaa na sahi kuchh to aashiq se chhed-chhad rahi kaj-adai sahi ada na sahi kyun bura mante ho shikwa mera chalo beja sahi ba-ja na sahi uqda-e-dil hamara ya qismat na khula tujh se ai saba na sahi waizo banda-e-khuda to hai 'aish' hum ne mana wo parsa na sahi