main chanchal ithlati nadiya bhanwar se kab tak bachti main lahr lahr mein dub ke ubhri ubhar ubhar ke dubi main main koi patthar to nahin thi mujh ko chhukar bhi dekha barf ko thodi aanch to milti aap hi aap pighalti main ang laga kar bedardi ne aag si bhar di nas nas mein tut gae sab laj ke ghunghru aisa jhum ke nachi main prem ke bandhan mein bandh kar sajan itni duri kyun tum bhi pyase pyase baadal pyasi pyasi dharti main aane wale dwar pe pahron dastak de kar laut gae hath mein le kar padhne baithi jab piritam ki chitthi main sannate mein jab jab chhanki bairi padosan ki pael jaane wale yaad mein teri raat raat-bhar jagi main kya andha wishwas tha ai 'nasrin' wo mujh ko mana lega har bandhan se chhut gaya wo hae kyun us se ruthi main