main dasht-e-zindagi ko chala tha nikhaarne

main dasht-e-zindagi ko chala tha nikhaarne
ek qahqaha lagaya guzarti bahaar ne

guzra hun jab sulagte hue naqsh chhodta
dekha hai mujh ko ghaur se har rahguzar ne

mai-kash ne jam-e-zahr hi munh se laga liya
pagal bana diya jo nashe ke utar ne

insan hadd-e-nur se aage nikal gaya
chhoda magar na us ko lahu ki pukar ne

un mah-rukhon ki hum se jo ye be-rukhi rahi
jaana padega chand pe kuchh din guzarne

karte hain wo sitare bhi ab mujh pe chashmaken
chamka diya jinhen meri shab-ha-e-tar ne

un gul-kadon ko bhi koi ai kash dekhta
jhulsa hai jin ko aatish-e-fasl-e-bahaar ne

laun kahan se un ke liye aur gham-gusar
jo gham diye hain mujh ko mere gham-gusar ne

meri sarisht mein thi mohabbat ki parwarish
mujh ko qalam diya mere parwardigar ne

bakhsha hai apne husn ka partaw mujhe 'karam'
fitrat ke har jamil-o-hasin shahkar ne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close