main DhunD lun agar us ka koi nishan dekhun

main dhund lun agar us ka koi nishan dekhun
buland hota faza mein kahin dhuan dekhun

abas hai sochna la-intiha ke bare mein
nigahen kyun na jhuka lun jo aasman dekhun

bahut qadim hai matruk to nahin lekin
hawa jo ret pe likhti hai wo zaban dekhun

hai ek umr se khwahish ki dur ja ke kahin
main khud ko ajnabi logon ke darmiyan dekhun

khayal tak na rahe raegan guzarne ka
agar 'malal' in aankhon ko mehrban dekhun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close