taron se aur baat mein kamtar nahin hun main

taron se aur baat mein kamtar nahin hun main
jugnu hun is liye bhi falak par nahin hun main

sadmon ki barishen mujhe kuchh to ghulaenge
putla hun khak ka koi patthar nahin hun main

dariya-e-gham mein barf ke tude ki shakl mein
muddat se apne qad ke barabar nahin hun main

us ka khayal us ki zaban us ke tazkire
us ke qafas se aaj bhi bahar nahin hun main

main tishnagi ke shahr pe tukda hun abr ka
koi gila nahin ki samundar nahin hun main

kyun zahr zindagi ne pilaya mujhe 'mayank'
wo bhi to jaanti thi ki shankar nahin hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close