main faizyab-e-gardish-e-saghar nahin hua

main faizyab-e-gardish-e-saghar nahin hua
kyun ai nigah-e-dost ye kyun-kar nahin hua

har ashk-e-khun mein gauhar-e-yakta ki aab ho
wo ishq kya jo husn ka zewar nahin hua

kyunkar lutai dil ki ye main ne mohabbaten
kuchh gham nahin jo koi shanawar nahin hua

bazi hamesha dil hi mohabbat mein le gaya
ek marka bhi tum se koi sar nahin hua

ek gardish-e-mudam ne ghere rakha mujhe
ek lamha-e-sukun bhi mayassar nahin hua

kaifiyyat-e-hayat se waqif nahin hai wo
jis ko niyaz-e-ishq mayassar nahin hua

ye raaz apni mast nigahon se puchh lo
kyun dil rahin-e-minnat-e-saghar nahin hua

fitrat hi khud azal se hai sar-gufta-e-wafa
ai khizr koi ishq ka rahbar nahin hua

'faiq' tamam raat kharab-e-fughan raha
lekin asar zara bhi kisi par nahin hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close