main ghar se dur utaq-e-badan mein rahta hun

main ghar se dur utaq-e-badan mein rahta hun
sawad-e-hijr ke bab-e-kuhan mein rahta hun

kahin to rahna hai jab tak mila hai izn-e-qayam
so harf-o-saut ke shahr-e-sukhan mein rahta hun

main aks hun tere pairahan-e-gul-o-mul ka
main ek rang hun barg-e-saman mein rahta hun

kabhi hun zulf ki zholidagi mein warafta
kabhi main teri jabin ki shikan mein rahta hun

misal-e-bosa-e-doshizgan-e-shahr-e-jamal
tere labon ke gulabi chaman mein rahta hun

miyan-e-chashm-zadan dhundh mujh ko palkon mein
kahin nahin hun tilism-zadan mein rahta hun

jahan se tu ne nikala mere ab-o-jad ko
main aaj bhi usi bagh-e-adan mein rahta hun

wahi hua hun ghazal-e-safa ke nafe mein
main mushk-e-la hun hawa-e-khutan mein rahta hun

hai panjand ki guzargah mera nisf khayal
main nisf wadi-e-gang-o-jaman mein rahta hun

zamin mere liye sair-gah hai 'masud'
main shams-zad hun nile gagan mein rahta hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close