main hans raha tha garche mere dil mein dard tha

main hans raha tha garche mere dil mein dard tha
ye raaz khul gaya to mera chehra zard tha

achchha hua ki aap ne daman jhatak diya
mera wajud aap ke daman pe gard tha

khud apni zat ke na kisi kaam aa sake
wo log jin ke dil mein zamane ka dard tha

kitne uruj par thi meri shiddat-e-talab
tum mil gae to shauq ka har jazba sard tha

tanhaiyon mein jis ke bane raazdar tum
goya wo main na tha koi aawara-gard tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close