main hi kashti bhi hun mallah bhi tufan bhi hun

main hi kashti bhi hun mallah bhi tufan bhi hun
aur ab dub raha hun to pareshan bhi hun

main jo auron ko dikhata hun is aaine mein
apna chehra nazar aaya hai to hairan bhi hun

haal ye kaisa faqiron sa bana rakkha hai
kaun kah dega kisi waqt ka sultan bhi hun

baryabi ki tamanna mein pada hun dar par
baitha hota to samajh leta ki darban bhi hun

be-bulae chala aata main na kahta tujh se
aaj to mehrban ho ja tera mehman bhi hun

aaj tak meri ghazal ne nahin pahchana mujhe
jabki shair hi nahin sahab-e-diwan bhi hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close