main hun wahshat mein gum main teri duniya mein nahin rahta bagula raqs mein rahta hai sahra mein nahin rahta badi muddat se tera husn dal bin kar dhadakta hai badi muddat se dil teri tamanna mein nahin rahta ye pani hai magar mizhgan ki shakhon par sulagta hai ye moti hai magar daman-e-dariya mein nahin rahta wo jalwa jo sukut-e-bazm-e-yaktai mein rahta hai wo jalwa shorish-e-pinhan-o-paida mein nahin rahta na koi mauj-e-ranai na koi sail-e-zebai koi tufan bhi ab chashm-e-tamasha mein nahin rahta ajab kya la-makan ko ek naya zindan samajh baithe ye diwana had-e-imroz-o-farda mein nahin rahta 'zahir' ek rishta-e-wahshat liye phirta hai majnun ko wagarna koi apne aap sahra mein nahin rahta