main jang jit ke jabr-o-ana ki haar gaya adu pe rahm ka ehsas mujh ko mar gaya amir-e-shahr ke afw-o-karam ko kya kahiye khule wo log ki khauf-e-salib-o-dar gaya ghurur-e-kasrat-e-lashkar na mere kaam aaya main so raha tha ki shab-khun ghanim mar gaya mera nasib ki bikhri thi dal dal meri koi khizan ka bagula mujhe sanwar gaya sadi ki raat guzari umid ke bal par bujha charagh-e-sahar karb-e-intizar gaya kisi ne chap bhi jate hue na us ki suni jo shakhs barson tere shahr mein guzar gaya shab-e-firaq ke dariya mein kud kar 'rasikh' tamam qarz wafa ke koi utar gaya