main jis ko bhul jaane ka irada kar raha hun usi ko yaad pahle se ziyaada kar raha hun hai ye bhi dusron ko pyas ka ehsas shayad suhani rut hai aur main tark-e-baada kar raha hun mubarak ho jo tu manzil-ba-manzil badh raha hai to main bhi yaad tujh ko jada jada kar raha hun nahin minnat-kash-e-ehsan kisi ka rahguzar mein main tanha hun safar bhi pa-piyaada kar raha hun saha jata nahin ab ranj-e-mahrumi-e-manzil safar hi tark kar dun ye irada kar raha hun ulajhta hun masafat ki tawalat se main jitna masafat ko main utna hi ziyaada kar raha hun main insan hun ye mere irtiqa ki hai alamat ki main insaniyat ko be-labaada kar raha hun samata hi nahin koi meri naqis nazar mein main apni zat hi se istifada kar raha hun safar bhi ho mayassar wo bhi din qismat dikhae main barson se irada hi irada kar raha hun tere qaul-o-qasam jin ko ki tu bhula hua hai teri jaanib se main un ka iada kar raha hun 'waqar' ajdad ki tarikh padh lun az-sar-e-nau murattab hi jab apna khanwada kar raha hun