main jo bad-hawas tha mahw-e-qayas tum bhi the

main jo bad-hawas tha mahw-e-qayas tum bhi the
bichhadte waqt zara sa udas tum bhi the

badalte waqt ka manzar tha sab ki aankhon mein
misal main tha agar iqtibas tum bhi the

mujhe to dar mila tum ko kaise takht mila
suna hai meri tarah haq-shanas tum bhi the

tumhaare hont se khushiyan chhalak gain kaise
uthae hath mein khali gilas tum bhi the

akela-pan pe kai sher kah diye main ne
ye aur baat mere aas pas tum bhi the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close