main jo chahun bhi to aisa nahin hone degi tu mujhe aur kisi ka nahin hone degi teri aawaz jagaegi samaat mein fusun teri surat mujhe andha nahin hone degi bap koi bhi musibat nahin aane dega man mere dil mein andhera nahin hone degi roz aa jata hai mujh ko koi massage us ka yani wo gham ka izala nahin hone degi ek tawaif jo jalati hai badan se chulha apni beti ko afifa nahin hone degi tu meri man kisi aur se shadi kar le meri ghurbat to ye rishta nahin hone degi wo juda ho bhi agar hogi saliqe se 'ali' yani dhoke ko tamasha nahin hone degi