main jo kuchh sochta hun ab tumhein bhi sochna hoga

main jo kuchh sochta hun ab tumhein bhi sochna hoga
jo hoga zindagi ka dhab tumhein bhi sochna hoga

abhi to aankh ojhal hai magar khurshid ke hathon
khinchegi jab rida-e-shab tumhein bhi sochna hoga

muqaddar mein tumhaare kyun nahin likhkha ba-juz mere
salib-o-dar ka mansab tumhein bhi sochna hoga

ye kaisa qafila hai jis mein sare log tanha hain
ye kis barzakh mein hain hum sab tumhein bhi sochna hoga

khuda aur aadmi donon agar ain-e-haqiqat hain
haqiqat mein hai kya mazhab tumhein bhi sochna hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close