main ki afsurda makanon mein rahun aaj bhi guzre zamanon mein rahun raat hai sar par koi suraj nahin kis liye phir saebanon mein rahun kya wasila ho mere izhaar ka lafz hun gungi zabanon mein rahun kaun dekhega yahan taqat meri tir hun tuti kamanon mein rahun bhediye hain chaar-su biphre hue niche utrun ya machanon mein rahun mere hone ka ho kuchh to faeda hun hawa to baadbanon mein rahun rabta rakhkhun zaminon se magar aasmanon ki udanon mein rahun ye bhi kya 'fakhri' ki purzon ki tarah raat din main kar-khanon mein rahun