main kya karun yahin karna hai intizar mujhe

main kya karun yahin karna hai intizar mujhe
isi jagah to mila tha wo pahli bar mujhe

bisat-e-zist pe bazi palat bhi sakti hai
tera nasib jo mil jae mustaar mujhe

usi ne mujh ko bana kar sipurd tere kiya
zara saliqe se ai zindagi guzar mujhe

bina lagam ke baitha diya hai malik ne
tu khwah-makhwah samajhta hai shahsawar mujhe

khata muaf ho is ki bhi kya zarurat thi
barae nam jo bakhsha hai ikhtiyar mujhe

talash-e-rizq mein ghar se nahin nikalta agar
to karna padta mayassar pe inhisar mujhe

tu ai zamir jahan mujh ko le ke baitha hai
usi maqam pe rakhiyo tu barqarar mujhe

qasam na kha teri fitrat se khub waqif hun
hai teri wada-khilafi ka e'tibar mujhe

ye zindagi jo kahin chain se nahin guzri
tamam umr rahi fikr-e-rozgar mujhe

main in khalaon mein gumnam ho na jaun kahin
uruj-e-fan meri dahliz par utar mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close