main mauj mauj hun meri bisat dariya hai

main mauj mauj hun meri bisat dariya hai
mera qabila samundar hai zat dariya hai

na wahm hai na guman hai na khwab hai na khayal
main chal raha hun mere sath sath dariya hai

koi to hoga sabab tishna-lab hun main warna
barahna tegh hai aur chand hath dariya hai

bana le aur bhi kaghaz ki kashtiyan beti
abhi to honge kai hadsat dariya hai

khuda khuda na pukarega na-khuda kab tak
bhanwar hai tak mein kina-sifat dariya hai

jo shakhs dub raha hai use bhi ghaur se sun
guhar hai us ka har-ik lafz baat dariya hai

na bandh rakht-e-safar pahle soch le 'khusraw'
shikasta naw andheri hai raat dariya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close