main naqsh-ha-e-KHun-e-wafa chhoD jaunga

main naqsh-ha-e-khun-e-wafa chhod jaunga
yani ki raaz-e-rang-e-hina chhod jaunga

tu aane wale kal ke liye kyun hai fikrmand
tere liye main apni dua chhod jaunga

tere khilaf koi na khole kabhi zaban
teri nigah mein wo nasha chhod jaunga

aa jaiyega shauq se be bechain jab ho dil
darwaza apne ghar ka khula chhod jaunga

rukhsar-o-lab ki teri na kam hongi raunaqen
main har ghazal mein zikr tera chhod jaunga

aaine de sakenge na tujh ko kabhi fareb
teri jabin pe tera pata chhod jaunga

ek khas chiz chhodunga sab ke liye 'alim'
pahle se kyun bataun ki kya chhod jaunga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close