main sochta hun sabaq main ne wo padha hi nahin mere junun ki hikayat mein jo likha hi nahin main sochta hun zulekha ki kuchh khabar aae mere siwa kahin yusuf ka kuchh pata hi nahin main sochta hu ki apne khuda se kah dalun wo sab jo main ne kabhi aaj tak kaha hi nahin main sochta hun ki sab to the gosh-bar-awaz wahi tha ek ki jis ne kaha suna hi nahin main sochta hun kabhi raat ke andheron mein charagh wo bhi jale jo kabhi jala hi nahin main sochta hun jo khamoshiyon ke sahra mein sada ki dhund mein saat ka kuchh pata hi nahin main sochta hun ki dana hi aisa kahte hain ye sar to ghair ke aage kabhi jhuka hi nahin