main tera koi nahin phir bhi puchh baiTha hun

main tera koi nahin phir bhi puchh baitha hun
ye aansuon ki chamak hai ki chashm-e-tar mein charagh

har ek shakhs ko milta kahan hai raushan hath
ki rab jalata nahin dast-e-be-hunar mein charagh

to hum bhi raat ke jangal mein so gae hote
na bante panw ke chhaale agar safar mein charagh

main raushni ke taaqub mein kuchh na dekh saka
lagi wo thes ki dhundla gae nazar mein charagh

jala ke chhod diya kis ne bahte dariya mein
na ye bhi socha ki aa sakta hai bhanwar mein charagh

tumhaara shahr mere ganw se hai kitna alag
yahan gulon ki jagah khilte hain shajar mein charagh

dil-o-dimagh mein bharne laga hai raat ka dar
jalana bhul gae log rahguzar mein charagh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close