main teri dastaras se bahut dur tha

main teri dastaras se bahut dur tha
phir bhi nazdik aane pe majbur tha

aaj main hi saza-war-e-jaur-o-sitam
kal teri mang ka main hi sindur tha

kaun aata hai yun zer-e-dam in dinon
raat tarik thi aashiyan dur tha

kuchh khulus-e-wafa par bhi nadim tha main
aur kuchh dil ke zakhmon se bhi chur tha

aaina dekh kar yun nadamat hui
main ki 'rahat' hun ab pahle mansur tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close