main to lamhat ki sazish ka nishana thahra tu jo thahra to tere sath zamana thahra aane wale kisi mausam se hamein kya lena dil hi jab dard ki khushbu ka khazana thahra yaad hai rakh-tale ek sharare ki tarah ye jo bujh jae hawaon ka bahana thahra jhut sach mein koi pahchan kare bhi kaise jo haqiqat ka hi meyar fasana thahra aks bikhre hue chehron ke hain har samt 'shamim' dil hamara bhi koi aaina-khana thahra