main to soya bhi na tha kyun ye dar-e-khwab gira meri aaghosh mein bujhta hua mahtab gira phir samundar ki taraf laut chali mauj-ba-mauj phir koi tishna-dahan aa ke sar-e-ab gira aks mismar na kar dida-e-hairan ke sarishk mere khwabon ke dar-o-baam na sailab gira dhund sipi ki tarah dil ko na sahil ke qarib ye sadaf dur bahut dur tah-e-ab gira aahan o sang ko zahrab-e-fana chat gaya pahle diwar shikasta hui phir bab gira