main us maqam pe hun jis ko la-makan kahiye

main us maqam pe hun jis ko la-makan kahiye
zamin na kahiye use aur na aasman kahiye

faza-e-dil na moattar ho jis se ai hamdam
na bostan use kahiye na gulistan kahiye

visal-e-yar mayassar na ho to kya gham hai
khayal-e-yar to hai jis ko dil-sitan kahiye

rafiq jitne the apne wo uth gae sare
hai kaun bazm mein ab jis ko raazdan kahiye

chaman mein rah ke bhi 'qaisar' mujhe nahin malum
bahaar kahiye use ya use khizan kahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close