main us se dur raha us ki dastaras mein raha wo ek shoale ki surat mere nafas mein raha nazar asir isi chashm-e-mai-fashan ki rahi mera badan bhi meri ruh ke qafas mein raha chaman se tut gaya barg-e-zard ka rishta na aab o gil mein samaya na khar-o-khas mein raha tamam umr ki be-tabiyon ka hasil tha wo ek lamha jo sadiyon ke pesh-o-pas mein raha wo ek shaer-e-ashufta-sar ki mujh mein tha hawa ka sath na de kar hawa ke bas mein raha kisi khayal ke nashshe mein din guzarte rahe main apni umr ke unniswen baras mein raha