main us ki anjuman mein akela nahin gaya jo main gaya to phir koi tanha nahin gaya main chahta tha us ki nigahon se khelna lekin zara si der bhi khela nahin gaya mumkin nahin tha husn o nazar ka muwazana mujh se to us ko thik se dekha nahin gaya tahwil mein kisi ki pahunch ke hai khush wo dil jis ko kisi maqam par rakkha nahin gaya donon taraf thi ek shikayat likhi hui chaha kabhi gaya kabhi chaha nahin gaya