maine apna haq manga tha wo nahaq hi ruTh gaya

main ne apna haq manga tha wo nahaq hi ruth gaya
bas itni si baat hui thi sath hamara chhut gaya

wo mera hai aakhir ek din mujh ko mil hi jaega
mere man ka ek bharam tha kab tak rahta tut gaya

duniya bhar ki shan-o-shaukat jyun ki tyun hi dhari rahi
mere bai-ragi man mein jab sach aaya to jhut gaya

kya jaane ye aankh khuli ya phir se koi bharam hua
ab ke aise uchata dil kuchh chhoda aur kuchh chhut gaya

ladte ladte aakhir ek din panchhi ki hi jit hui
paran pakheru ne tan chhoda khali pinjra chhut gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close