main ne jis ko chaha tha wo khushbu ka jhonka tha chand ke ujle chehre par waqt ka gahra saya tha pichhe mud kar dekhne wala dur gae tak roya tha tu bhi to wo padh na saka chehre par jo likkha tha kaise us ko mahw karun barson jis ko puja tha tu ne jis ko kat diya hai main us ped ka patta tha