maine kaha ki raaz chhupaya na jaega

main ne kaha ki raaz chhupaya na jaega
bole kisi se munh bhi lagaya na jaega

ho ek do ghadi ka to hum ji pe sah bhi len
aathon pahar ka gham to uthaya na jaega

is na-murad dil ne ye thani hai ai khayal
soi mohabbaton ko jagaya na jaega

har ghuncha dil-girafta hua sun ke meri baat
chhodo bhi ab wo qissa sunaya na jaega

kis bhaari dil se jate hain hum us ke dar pe aaj
sar jhuk gaya wahan to uthaya na jaega

kis ki nazar ke kante pe tulta hai barg-e-gul
tere subuk labon se bataya na jaega

har lala us chaman ka hai be-dagh aarzu
shabnam se ye charagh jalaya na jaega

'masu' bagh-e-hind mein kya aa gai bahaar
hum se to is bahaar mein gaya na jaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close