maine kaha tha aaj na jaen ghoDe behad thake hue hain

main ne kaha tha aaj na jaen ghode behad thake hue hain
us ne kaha tha jaana tai hai dushman pichhe lage hue hain

main ne kaha tha daen taraf ki ghati mein hum chhup jate hain
us ne kaha tha na-mumkin hai tiron mein hum ghire hue hain

main ne kaha tha ghaar mein katen hijrat-rut ki pahli raaten
us ne kaha tha us ke bilon mein sanp aur bichchhu chhupe hue hain

main ne kaha tha pyas ke mare kali ret pe mar jaenge
us ne kaha tha thik hai lekin do mashkize bhare hue hain

main ne kaha tha us se aage chhupne ki kya surat hogi
us ne kaha tha darte kyun ho aage qile bane hue hain

main ne kaha tha do hi hain hum shahr-e-sitam se jaane wale
us ne kaha tha basti mein kuchh aur bhi sathi ruke hue hain

main ne kaha tha sunte ho tum pichhe pichhe aati tapen
us ne kaha tha hum bhi ajab hain do rahe par ruke hue hain

main ne kaha tha ab kya hoga dushman sar par aa pahuncha hai
us ne kaha tha ghaar ke munh par lakhon jale tane hue hain

main ne kaha tha ye to batao kis ki taraf mehmani hogi
us ne kaha tha yasrib wale ek duje se badhe hue hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close