main ne wo nazm likhi hai ki khuda jaanta hai us ka har lafz khudai ka pata jaanta hai meri aankhon mein ye taswir zara ghaur se dekh mujh ko us shakhs se milna hai bata jaanta hai main bhi zanjir nahin hota kisi wahshat se wo bhi tanhai se bachne ki dua jaanta hai din to main phir bhi kisi dhab se bita leta hun raat jo mujh pe guzarti hai khuda jaanta hai meri surat ye dikhae bhi to kaise mujh ko mere bare mein ye aaina bhi kya jaanta hai mere kashkol ko bhar de ki main khali hun bahut tujh siwa kaun sakhi mera pata jaanta hai dil ke bare mein main tafsil bataun tumhein kya mukhtasar ye ki mohabbat ko saza jaanta hai masala ye hai ki main khush hun akela ho kar is qadar khush ki faqat mera khuda jaanta hai zindagi khel hai shatranj se bhi pechida jaanne wala bhi is bab mein kya jaanta hai harf ko harf batata hai wo khamosh dahan saut ko saut samajhta hai sada jaanta hai 'mir' ki mujh ko sanad de to main sochun is par narawa harf ko jo harf-e-rawa jaanta hai dil dhadakne ki bhi aawaz nahin aati 'zeb' aisi khamoshi ko tu kaise sada jaanta hai