majaz kaisa kahan haqiqat abhi tujhe kuchh khabar nahin hai ye sab hai ek khwab ki si haalat jo dekhta hai sahar nahin hai shamim-e-gulshan nasim-e-sahra shua-e-khurshid mauj-e-dariya har ek garm-e-safar hai in mein mera koi ham-safar nahin hai nazar mein wo gul sama gaya hai tamam hasti pe chha gaya hai chaman mein hun ya qafas mein hun main mujhe ab is ki khabar nahin hai chamak damak par mita hua hai ye baghban tujhko kya hua hai fareb-e-shabnam mein mubtala hai chaman ki ab tak khabar nahin hai ye mujh se sun le to raaz-e-pinhan salamti khud hai dushman-e-jaan kahan se rah-rau mein zindagi ho ki rah jab pur-khatar nahin hai main sar se pa tak hun mai-parasti tamam shorish tamam masti khula hai mujh par ye raaz-e-hasti ki mujh ko kuchh bhi khabar nahin hai hawa ko mauj-e-sharab kar de faza ko mast o kharab kar de ye zindagi ko shabab kar de nazar tumhaari nazar nahin hai pada hai kya us ke dar pe 'asghar' wo shokh mail hai imtihan par subut de zindagi ka mar kar niyaz ab kargar nahin hai