man ke aangan mein KHayalon ka guzar kaisa hai

man ke aangan mein khayalon ka guzar kaisa hai
ye chahakta hua viran sa ghar kaisa hai

mera mazi jahan bikhra sa pada hai har su
ab wo pipal ke tale ujda khandar kaisa hai

sakht pathraw tha kal raat teri basti mein
din nikalne pe ye dekhenge ki sar kaisa hai

jaan dena hai hamein ek shiwale ke qarib
aap batlaen zara aap ka dar kaisa hai

dil ke madfan mein 'tapish' dafn hai ehsas ka jism
tum ne chhoda jise dekho wo nagar kaisa hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close