mangta hun KHairiyat lab par dua rakhta hun main

mangta hun khairiyat lab par dua rakhta hun main
jaane wo kab laut aae ghar khula rakhta hun main

jaanta hun us kei har naraazgi ko main magar
apne hisse ka bhi to koi gila rakhta hun main

wasl ho ya hijr us ke apne honge waswase
us ka jo bhi faisla ho bas wafa rakhta hun main

us ko bhi to gham bichhadne ka ye hona chahiye
is liye us kei gali se silsila rakhta hun main

jo mohabbat sachchi ho to laut ke aa jati hai
aaj bhi is jeb mein us ka pata rakhta hun main

uljha rahta hun main apne hi khayalon mein kahin
koi to gham hai jo andar hi daba rakhta hun main

lakh mushkil aae qasim chalta rakhna karwan
dur hai par aankhen manzil par laga rakhta hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close