manus fitratan hain gham-e-ashiqi se hum

manus fitratan hain gham-e-ashiqi se hum
phir kyun na tere naz uthaen khushi se hum

jab se yaqin hua hai wahi karsaz hain
ab apna haal kahte nahin har kisi se hum

khamosh zindagi bhi dalil-e-bahaar hai
ye dars le rahe hain chaman mein kali se hum

ye aur baat hai ki hamein kuchh gila bhi hai
munkir nahin magar teri dariya-dili se hum

dil-soz-o-dil-kharash hai ye jada-e-hayat
lekin guzar rahe hain badi sadgi se hum

ye fikr ye khayal 'aziz' aap ka na ho
kuchh sher sun rahe the abhi 'warsi' se hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close