manus ho gae hain gham-e-zindagi se hum

manus ho gae hain gham-e-zindagi se hum
hum ko khushi mile to na lenge khushi se hum

phulon ki aarzu na karenge kisi se hum
kante samet lae hain un ki gali se hum

hum sham-e-gham ko subh-e-masarrat ka nam den
suraj karen tulua na kyun tirgi se hum

sach ke liye hum aaj ke suqraat ban gae
pite hain jam zahr ka apni khushi se hum

hum mil ke khud se khud ko bhi pahchante nahin
apne liye bhi ban gae hain ajnabi se hum

gham khate khate ho gaya manus-e-gham mizaj
ho jate hain fasurda-o-mahwar khushi se hum

hum ko watan mein ab koi pahchanta nahin
apne watan mein phirte hain ab ajnabi se hum

ban jaen kyun na khud hi numud-e-sahar ki zau
'asi' ziya talab na karen tirgi se hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close