manzil ke KHwab dekhte hain panw kaT ke

manzil ke khwab dekhte hain panw kat ke
kya sada-dil ye log hain ghar ke na ghat ke

ab apne aansuon mein hain dube hue tamam
aae the apne khun ka dariya jo pat ke

shahr-e-wafa mein haqq-e-namak yun ada hua
mahfil mein hain lage hue paiwand tat ke

khinchti thi jin ke khauf se sadd-e-sikandari
soe nahin hain aaj wo diwar chat ke

ab to darindagi ki nash bhi husn hai
diwar par sajate hain sar kat kat ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close