manzil na koi moD na rasta dikhai de

manzil na koi mod na rasta dikhai de
aalam tamam dhund mein lipta dikhai de

qatil dikhai de na masiha dikhai de
har shakhs ek fareb-e-tamasha dikhai de

waise to zindagi hai ujalon ka shahr bhi
dekho to maqbaron ka andhera dikhai de

jaun udhar to ek samundar hai be-karan
dekho idhar to pyas ka sahra dikhai de

rangin hai qatl-e-gul se abhi daman-e-bahaar
dast-e-hawas se khun tapakta dikhai de

tahtush-shuur mein hai jo ek lamha-e-khyal
lafzon ki sidhiyon se utarta dikhai de

sunta hun saaton mein nigar-e-sahar ki chap
manzar naqab-e-sham ulatta dikhai de

dhundo kisi hasin kharabe mein zindagi
ye dil to sadhuon ka basera dikhai de

arz-e-dakan mein baat chali hai kuchh is tarah
'saqib' dayar-e-sher mein tanha dikhai de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close