manzilon ka main pata bhi dunga

manzilon ka main pata bhi dunga
khud ko raste se hata bhi dunga

itna ehsan-faramosh nahin
bewafai ka sila bhi dunga

apni hasrat to wo puri kar le
dushman-e-jaan ko dua bhi dunga

pahle darwaze pe dastak de lun
phir ye diwar gira bhi dunga

zindagi jurm to aaed kar de
be-gunahi ko saza bhi dunga

qatl bhi main hi karunga khud ko
aur phir khun-baha bhi dunga

aag bhadkegi 'tabassum' apni
yani shoalon ko hawa bhi dunga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close